Monday, November 2, 2009

Kyun?

Har baar jab bhi main uska naam apne zubaan par laati hoon, tumhara chera utar jaata hain.
Har baar main baat ko taalne ki koshish karti hoon, lekin tum itne attal rehte ho humare baare mein jaanne ke liye,

Woh dard dikhta hain,lekin main kuch kar nahi paaongi
Woh chaahat dikhta hain lekin main lauta nahi paaongi

Main samajh sakti hoon ke tumpe kya beet rahi hain
Main samajh sakti hoon tumare liye yeh aasan nahi

Mujhse hazaar baar achi ladkiya milengi tumhe,
Tum ek ache insaan ho, mere karaan se apne aap ko mat badlo.

2 comments:

  1. English little one, English

    ReplyDelete
  2. Grrrr, I am 19 now!!!!! No longer the 'little one':@

    hah. I'll translate it for you on msn<3

    ReplyDelete